Wednesday 19 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 31

Gharon mein yun sayani betiyaan bechain rehati hain

Gharon mein yun sayani betiyaan bechain rehati hain,
Ki jaise saahilon par kashtiyaan bechain rehati hain.

Ye chidiya bhi meri beti se kitani milati-julti hai,
Kahin bhi shaakhe-gul dekhe to jhula daal deti hai.

Ro rahe the sab to main bhi phoot ke rone lagaa,
Warnaa mujhko betiyon ki rukhsati achchi lagi.

Badi hone ko hain ye muratein aangan mein mitti ki,
Bahut se kaam baaki hai sambhala le liya jaaye.

To phir jakar kahin Maa-Baap ko kuch chain padta hai,
Ki jab sasuraal se ghar aa ke beti muskurati hai.

Ayesa lagta hai ki jaise khtam mela ho gaya,
Uad gayi aangan se chidiyaan ghar akela ho gaya. !!

घरों में यूँ सयानी बेटियाँ बेचैन रहती हैं,
कि जैसे साहिलों पर कश्तियाँ बेचैन रहती हैं !

ये चिड़िया भी मेरी बेटी से कितनी मिलती-जुलती है,
कहीं भी शाख़े-गुल देखे तो झूला डाल देती है !

रो रहे थे सब तो मैं भी फूट कर रोने लगा,
वरना मुझको बेटियों की रुख़सती अच्छी लगी !

बड़ी होने को हैं ये मूरतें आँगन में मिट्टी की,
बहुत से काम बाक़ी हैं सँभाला ले लिया जाये !

तो फिर जाकर कहीँ माँ-बाप को कुछ चैन पड़ता है,
कि जब ससुराल से घर आ के बेटी मुस्कुराती है !

ऐसा लगता है कि जैसे ख़त्म मेला हो गया,
उड़ गईं आँगन से चिड़ियाँ घर अकेला हो गया !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment