Friday 7 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 1

Hanste hue Maa-Baap ki gaali nahi khaate - Munawwar Rana Maa Part 1

Hanste hue Maa-Baap ki gaali nahi khaate,
Bachche hain to kyon shauq se mitti nahi khaate.

Ho chaahe jis ilaaqe ki zabaan bachche samajhte hain,
Sagi hai ya ki sauteli hai Maa bachche samajhte hain.

Hawa dukhon ki jab aayi kabhi khizaan ki tarah,
Mujhe chhupa liya mitti ne meri Maa ki tarah.

Sisakiyaan uski na dekhi gayi mujhse "Rana",
Ro pada main bhi use pehli kamaayi dete.

Sar-phire log humein dushman-e-jaan kehte hain,
Hum jo is mulk ki mitti ko bhi Maa kehte hain.

Mujhe bas is liye achchhi bahaar lagati hai,
Ki ye bhi Maa ki tarah khush-gawaar lagati hai.

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo,
Muddaton Maa ne nahi dhoya dupatta apna.

Bheje gaye farishte humaare bachaav ko,
Jab haadsaat Maa ki dua se ulajh pade.

Labon pe us ke kabhi bad’dua nahi hoti,
Bas ek Maa hai jo mujh se khafa nahi hoti.

Taar par bathi hui chidiyon ko sota dekh kar,
Farsh par sota hua beta bahut achchha laga !!

हँसते हुए माँ-बाप की गाली नहीं खाते,
बच्चे हैं तो क्यों शौक़ से मिट्टी नहीं खाते !

हो चाहे जिस इलाक़े की ज़बाँ बच्चे समझते हैं,
सगी है या कि सौतेली है माँ बच्चे समझते हैं !

हवा दुखों की जब आई कभी ख़िज़ाँ की तरह,
मुझे छुपा लिया मिट्टी ने मेरी माँ की तरह !

सिसकियाँ उसकी न देखी गईं मुझसे "राना",
रो पड़ा मैं भी उसे पहली कमाई देते !

सर फिरे लोग हमें दुश्मन-ए-जाँ कहते हैं,
हम जो इस मुल्क की मिट्टी को भी माँ कहते हैं !

मुझे बस इस लिए अच्छी बहार लगती है,
कि ये भी माँ की तरह ख़ुशगवार लगती है !

मैंने रोते हुए पोंछे थे किसी दिन आँसू,
मुद्दतों माँ ने नहीं धोया दुपट्टा अपना !

भेजे गए फ़रिश्ते हमारे बचाव को,
जब हादसात माँ की दुआ से उलझ पड़े !

लबों पे उसके कभी बद्दुआ नहीं होती,
बस एक माँ है जो मुझसे ख़फ़ा नहीं होती !

तार पर बैठी हुई चिड़ियों को सोता देख कर,
फ़र्श पर सोता हुआ बेटा बहुत अच्छा लगा !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment