Thursday 13 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 17

Humare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Hum ab tanha nahi chalte dawa bhi saath chalti hai

Humare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai,
Hum ab tanha nahi chalte dawa bhi saath chalti hai.

Kachche samar shzar se alag kar diye gaye,
Hum kamsini mein ghar se alag kar diye gaye.

Gautam ki tarah ghar se nikal kar nahi jaate,
Hum raat mein chhup kar kahin baahar nahi jaate.

Humare saath chal kar dekh lein ye bhi chaman waale,
Yahan ab koyla chunte hain phoolon se badan waale.

Itna roye the lipat kar dar-o-deewar se hum,
Shehar mein aa ke bahut din rahe beemar se hum.

Main apne bachchon se aankhen mila nahi sakta,
Main khali jeb liye apne ghar na jaunga.

Hum ek titalee ki khatir bhatkte firte the,
Kabhi na aayenge wo din shararton waale.

Mujhe sabhalne wala kahan se aayega,
Main gir raha hun puraani imaarton ki tarah.

Pairon ko mere deeda-e-tar banndhe hue hai,
Zanjeer ki soorat mujhe ghar baandhe hue hai.

Dil aisa ki sidhe kiye jute bhi badon ke,
Jid itani ki khud taaj utha kar nahi pehana. !!

हमारे कुछ गुनाहों की सज़ा भी साथ चलती है,
हम अब तन्हा नहीं चलते दवा भी साथ चलती है !

कच्चे समर शजर से अलग कर दिये गये,
हम कमसिनी में घर से अलग कर दिये गये !

गौतम की तरह घर से निकल कर नहीं जाते,
हम रात में छुप कर कहीं बाहर नहीं जाते !

हमारे साथ चल कर देख लें ये भी चमन वाले,
यहाँ अब कोयला चुनते हैं फूलों-से बदन वाले !

इतना रोये थे लिपट कर दर-ओ-दीवार से हम,
शहर में आके बहुत दिन रहे बीमार-से हम !

मैं अपने बच्चों से आँखें मिला नहीं सकता,
मैं ख़ाली जेब लिए अपने घर न जाऊँगा !

हम एक तितली की ख़ातिर भटकते फिरते थे,
कभी न आयेंगे वो दिन शरारतों वाले !

मुझे सँभालने वाला कहाँ से आयेगा,
मैं गिर रहा हूँ पुरानी इमारतों की तरह !

पैरों को मेरे दीदा-ए-तर बाँधे हुए है,
ज़ंजीर की सूरत मुझे घर बाँधे हुए है !

दिल ऐसा कि सीधे किए जूते भी बड़ों के,
ज़िद इतनी कि खुद ताज उठा कर नहीं पहना !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment