Wednesday 5 September 2018

Pee Sharab Behisaab...

Pi Sharaab Behisaab, Na Rakha Mashukon Ka hisaab
Aise-waise log ban jaate hai kaise-kaise, 
Mujhe to main bhi banana na aaya, waisa banoo kaise ?

Pi sharaab behisaab,
Na rakha mashukon ka hisaab, 
Sambhaala kise nahi girane kise diya,
Mujhe mila mere wafaaon ka sawaab.

Pi ke daaru khud se door ho gaye the,
Chhod ke daaru khud ke paas aa gaye.

Ungali pakad chalana sikhaaya tha jinako, 
Kadam unse mila ke chalana muhaal ho gaya,
Shikayat yahi rahi hogi, mere bhi maan-baap ke mujhse,
Kash is ehasaas ne us waqt jagaya hota,
Aaj jis dard se main guzar raha hoon, maan-baap ka wo dard mitaaya hota.

Koi muskura deta hai, main haath badha deta hoon,
Koi haath badha deta hai, main seene se laga leta hoon,
Koi seene se laga leta hai, main dil mein basa leta hoon !!

ऐसे वैसे लोग बन जाते है कैसे-कैसे,
मुझे तो मैं भी बनना न आया, वैसा बनू कैसे ?

पी शराब, बेहिसाब,
न रखा मशुकों का हिसाब,
सम्भाला किसे नही, गिरने किसे दिया,
मुझे मिला मेरी वफाओं का सवाब !

पी के दारू, खुद से दूर हो गए थे,
छोड़ के दारू, खुद के पास आ गए !

उंगली पकड़ चलना सिखाया था जिनको, 
कदम उनसे मिला के चलना मुहाल हो गया,
शिकायत यही रही होगी, मेरी भी माँ-बाप के मुझसे,
काश इस एहसास ने उस वक़्त जगाया होता,
आज जिस दर्द से मैं गुजर रहा हूँ माँ-बाप का वो दर्द मिटाया होता !

कोई मुस्कुरा देता है, मैं हाथ बढ़ा देता हूं,
कोई हाथ बढ़ा देता है, मैं सीने से लगा लेता हूँ,
कोई सीने से लगा लेता है, मैं दिल मे बसा लेता हूँ !!


-- Shri Dharmendra Singh Deol



0 comments:

Post a Comment