Friday 7 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 2

Ab bhi chalti hai jab aandhi kabhi gham ki

Is chehre mein posheeda hai ek kaum ka chehra,
Chehre ka utar jaana munaasib nahi hoga.

Ab bhi chalti hai jab aandhi kabhi gham ki "Rana",
Maa ki mamta mujhe baahon mein chhupa leti hai.

Museebat ke dinon mein humesha saath rahti hai,
Payambar kya pareshaani mein ummat chhod sakta hai ?

Puraana ped buzurgon ki tarah hota hai,
Yahi bahut hai ki taaza hawayen deta hai.

Kisi ke paas aate hain to dariya sookh jaate hain,
Kisi ke ediyon se ret ka chashma nikalta hai.

Jab tak raha hun dhoop mein chaadar bana raha,
Main apni Maa ka aakhiri jevar bana raha.

Dekh le zaalim shikaari ! Maa ki mamata dekh le,
Dekh le chidiya tere daane talak to aa gayi.

Mujhe bhi us ki judaai sataate rehti hai,
Use bhi khwaab mein beta dikhaayi deta hai.

Muflisi ghar mein theharne nahi deti usko,
Aur pardesh mein beta nahi rahne deta.

Agar school mein bachche hon ghar achchha nahi lagta,
Parindon ke na hone par shajar achchha nahi lagta !!

इस चेहरे में पोशीदा है इक क़ौम का चेहरा,
चेहरे का उतर जाना मुनासिब नहीं होगा !

अब भी चलती है जब आँधी कभी ग़म की "राना",
माँ की ममता मुझे बाहों में छुपा लेती है !

मुसीबत के दिनों में हमेशा साथ रहती है,
पयम्बर क्या परेशानी में उम्मत छोड़ सकता है !

पुराना पेड़ बुज़ुर्गों की तरह होता है,
यही बहुत है कि ताज़ा हवाएँ देता है !

किसी के पास आते हैं तो दरिया सूख जाते हैं,
किसी के एड़ियों से रेत का चश्मा निकलता है !

जब तक रहा हूँ धूप में चादर बना रहा,
मैं अपनी माँ का आखिरी ज़ेवर बना रहा !

देख ले ज़ालिम शिकारी ! माँ की ममता देख ले,
देख ले चिड़िया तेरे दाने तलक तो आ गई !

मुझे भी उसकी जदाई सताती रहती है,
उसे भी ख़्वाब में बेटा दिखाई देता है !

मुफ़लिसी घर में ठहरने नहीं देती उसको,
और परदेस में बेटा नहीं रहने देता !

अगर स्कूल में बच्चे हों घर अच्छा नहीं लगता,
परिन्दों के न होने पर शजर अच्छा नहीं लगता !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment