Tuesday 18 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 30


Ghar ki deewar pe kauve nahi achche lagte,
Muflisi mein ye tamaashe nahi achche lagte.

Muflisi ne saare aangan mein andhera kar diya,
Bhai khaali haath laute aur Behane bujh gayi.

Amiri resham-o-kamkhwaab mein nangi nazar aayi,
Garibi shaan se ek taat ke parde mein rehati hai.

Isi gali mein wo bhukha kisaan rahata hai,
Ye wo zameen hai jahan aasmaan rahata hai.

Dehleez pe sar khole khadee hogi jarurat,
Ab ase ghar mein jana munaasib nahi hoga.

Eid ke khauf ne rozon ka maza chhin liya,
Muflisi mein ye mahina bhi bura lagtaa hai.

Apne ghar mein sar jhukaye is liye aaya hun main,
Itani majduri to bachchon ki dua khaa jayegi.

Allaah gareebon ka madadgaar hai "Rana",
Hum logon ke bachche kabhi sardi nahi khaate.

Bojh uthaana shauk kahan hai majboori ka suda hai,
Rehate-rehate station par log kuli ho jaate hain. !!

घर की दीवार पे कौवे नहीं अच्छे लगते,
मुफ़लिसी में ये तमाशे नहीं अच्छे लगते !

मुफ़लिसी ने सारे आँगन में अँधेरा कर दिया,
भाई ख़ाली हाथ लौटे और बहनें बुझ गईं !

अमीरी रेशम-ओ-कमख़्वाब में नंगी नज़र आई,
ग़रीबी शान से इक टाट के पर्दे में रहती है !

इसी गली में वो भूखा किसान रहता है,
ये वो ज़मीं है जहाँ आसमान रहता है !

दहलीज़ पे सर खोले खड़ी होगी ज़रूरत,
अब ऐसे घर में जाना मुनासिब नहीं होगा !

ईद के ख़ौफ़ ने रोज़ों का मज़ा छीन लिया,
मुफ़लिसी में ये महीना भी बुरा लगता है !

अपने घर में सर झुकाये इस लिए आया हूँ मैं,
इतनी मज़दूरी तो बच्चे की दुआ खा जायेगी !

अल्लाह ग़रीबों का मददगार है "राना",
हम लोगों के बच्चे कभी सर्दी नहीं खाते !

बोझ उठाना शौक़ कहाँ है मजबूरी का सौदा है,
रहते-रहते स्टेशन पर लोग कुली हो जाते हैं !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment