Monday 17 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 25


Kisi bhi mod par tumse wafadaari nahi hogi,
Humein maaloom hai tumko ye bimaari nahi hogi.

Neem ka ped tha barsaat thi aur jhula tha,
Gaon mein gujara jamaana bhi ghazal jaisa tha.

Hum kuch ase tere deedaar mein kho jaate hain,
Jaise bachche bhare baazaar mein kho jaate hain.

Tujhe akele padhoon koi hum sabak na rahe,
Main chahata hun ki tujh par kisi ka haq na rahe.

Wo apne kaandhon pe kunbe ka bojh rakhta hai,
Isiliye to qadam soch kar uthaata hai.

Aankhein to usko ghar se nikalne nahi deti,
Aansoo hai ki saamaan-e-safar baandhe hue hain.

Safedi aa gayi baalon mein uske,
Wo baaizzat ghrana chahata tha.

Na jaane kaun si majburiyan pardes laai thi,
Wah jitni der tak zinda raha ghar yaad karta tha.

Talaash karte hain unko jaruraton wale,
Kahan gaye wo purane sharafaton wale.

Wo khush hai ki baazaar mein gaali de di,
Main khush hun ehsaan ki kimat nikal aayi. !!

किसी भी मोड़ पर तुमसे वफ़ादारी नहीं होगी,
हमें मालूम है तुमको ये बीमारी नहीं होगी !

नीम का पेड़ था बरसात थी और झूला था,
गाँव में गुज़रा ज़माना भी ग़ज़ल जैसा था !

हम कुछ ऐसे तेरे दीदार में खो जाते हैं,
जैसे बच्चे भरे बाज़ार में खो जाते हैं !

तुझे अकेले पढ़ूँ कोई हम सबक न रहे,
मैं चाहता हूँ कि तुझ पर किसी का हक़ न रहे !

वो अपने काँधों पे कुन्बे का बोझ रखता है,
इसीलिए तो क़दम सोच कर उठाता है !

आँखें तो उसको घर से निकलने नहीं देतीं,
आँसू हैं कि सामान-ए-सफ़र बाँधे हुए हैं !

सफ़ेदी आ गई बालों में उसके,
वो बाइज़्ज़त घराना चाहता था !

न जाने कौन सी मजबूरियाँ परदेस लाई थीं,
वह जितनी देर तक ज़िन्दा रहा घर याद करता था !

तलाश करते हैं उनको ज़रूरतों वाले,
कहाँ गये वो पुराने शराफ़तों वाले !

वो ख़ुश है कि बाज़ार में गाली मुझे दे दी,
मैं ख़ुश हूँ एहसान की क़ीमत निकल आई !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment