Monday 17 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 26

Use jali huyi lashein nazar nahi aati magar wo suee se dhaaga gujaar deta hai
Use jali huyi lashein nazar nahi aati,
Magar wo suee se dhaaga gujaar deta hai.

Wo peharon baith kar tote se baatein karta rehta hai,
Chalo achcha hai ab nazarein badalna seekh jaayega.

Use haalaat ne roka mujhe mere masaayal ne,
Wafa ki raah mein dushwaariyan dono taraf se hain.

Tujhse bichhada to pasand aa gayi betarteebi,
Isse pehale mera kamara bhi ghazal jaisa tha.

Kahan ki hizaratein, kaisa safar, kaisa juda hona,
Kisi ki chaah pairon mein duppata daal deti hai.

Ghazal wo sinf-e-naajuk hai jise apni rafaakat se,
Wo mahabooba bana leta hai main beti banaata hun.

Wo ek gudiya jo mele mein kal dukaan pe thi,
Dino ki baat hai pehale mere makaan pe thi.

Ladakpan mein kiye wade ki kimat kuch nahi hoti,
Anguthi haath mein rehti hai mangani toot jaati hai.

Wo jiske waaste pardesh jaa raha hun main,
Bichhadte waqt usi ki taraf nahi dekha. !!

उसे जली हुई लाशें नज़र नहीं आतीं,
मगर वो सूई से धागा गुज़ार देता है !

वो पहरों बैठ कर तोते से बातें करता रहता है,
चलो अच्छा है अब नज़रें बदलना सीख जायेगा !

उसे हालात ने रोका मुझे मेरे मसायल ने,
वफ़ा की राह में दुश्वारियाँ दोनों तरफ़ से हैं !

तुझसे बिछड़ा तो पसंद आ गई बेतरतीबी,
इससे पहले मेरा कमरा भी ग़ज़ल जैसा था !

कहाँ की हिजरतें कैसा सफ़र कैसा जुदा होना,
किसी की चाह पैरों में दुपट्टा डाल देती है !

ग़ज़ल वो सिन्फ़-ए-नाज़ुक़ है जिसे अपनी रफ़ाक़त से,
वो महबूबा बना लेता है मैं बेटी बनाता हूँ !

वो एक गुड़िया जो मेले में कल दुकान पे थी,
दिनों की बात है पहले मेरे मकान पे थी !

लड़कपन में किए वादे की क़ीमत कुछ नहीं होती,
अँगूठी हाथ में रहती है मंगनी टूट जाती है !

वो जिसके वास्ते परदेस जा रहा हूँ मैं,
बिछड़ते वक़्त उसी की तरफ़ नहीं देखा !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment