Sunday 16 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 23

Bachche-Village Children-Gaaon Ke Bachche

Farishte aa ke unke jism par khushboo lagate hain,
Wo bachche rail ke dibbe mein jo jhaadu lagaate hain.

Humakte khelte bachchon ki shaitaani nahi jaati,
Magar phir bhi humare ghar ki veeraani nahi jaati.

Apne mustkbil ki chaadar par rafoo karte huye,
Maszidon mein dekhiye bachche wajoo karte huye.

Mujhe is shehar ki sab ladkiyaan aadaab karti hain,
Main bachchon ki kalaai ke liye raakhi banaata hun.

Ghar ka bhojh uthaane wale bachche ki taqdeer na punchh,
Bachpan ghar se baahar nikalaa aur khilauna toot gaya.

Jo ashq goonge the wo arje-haal karne lage,
Humare bachche humin par sawaal karne lage.

Jab ek waakya bachpan ka humko yaad aaya,
Hum un parindo ko phir se gharon mein chhod aaye.

Bhare sheharon mein kurbaani ka mausam jab se aaya hai,
Mere bachche kabhi holi mein pichkaari nahi laate.

Maszid ki chataai pe ye sote hue bachche,
In bachchon ko dekho kabhi resham nahi dekha.

Bhookh se behaal bachche to nahi roye magar,
Ghar ka chulha muflisi ki chugliyaan khaane lagaa. !!

फ़रिश्ते आ के उनके जिस्म पर ख़ुशबू लगाते हैं,
वो बच्चे रेल के डिब्बे में जो झाड़ू लगाते हैं !

हुमकते खेलते बच्चों की शैतानी नहीं जाती,
मगर फिर भी हमारे घर की वीरानी नहीं जाती !

अपने मुस्तक़्बिल की चादर पर रफ़ू करते हुए,
मस्जिदों में देखिये बच्चे वज़ू करते हुए !

मुझे इस शहर की सब लड़कियाँ आदाब करती हैं,
मैं बच्चों की कलाई के लिए राखी बनाता हूँ !

घर का बोझ उठाने वाले बच्चे की तक़दीर न पूछ,
बचपन घर से बाहर निकला और खिलौना टूट गया !

जो अश्क गूँगे थे वो अर्ज़े-हाल करने लगे,
हमारे बच्चे हमीं पर सवाल करने लगे !

जब एक वाक़्या बचपन का हमको याद आया,
हम उन परिंदों को फिर से घरों में छोड़ आए !

भरे शहरों में क़ुर्बानी का मौसम जबसे आया है,
मेरे बच्चे कभी होली में पिचकारी नहीं लाते !

मस्जिद की चटाई पे ये सोते हुए बच्चे,
इन बच्चों को देखो, कभी रेशम नहीं देखा !

भूख से बेहाल बच्चे तो नहीं रोये मगर,
घर का चूल्हा मुफ़लिसी की चुग़लियाँ खाने लगा !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment