Sunday 9 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 12


Isliye maine bujurgon ki zameene chhod di,
Mera ghar jis din basega tera ghar gir jayega.

Bachpan mein kisi baat pe hum ruth gaye the,
Us din se isi shehar mein hain ghar nahi jaate.

Bichhad ke tujh se teri yaad bhi nahi aayi,
Humare kaam ye aulaad bhi nahi aayi.

Mujhko har haal mein bkhshega ujaala apna,
Chaand rishte mein nahi lagta hai mama apna.

Main narm mitti hun tum raund kar gujar jaao,
Ki mere naaz to bas koojaagar uthaata hai.

Masaayal ne humein boodha kya hai waqt se pahale,
Gharelu uljhane aksar jawani chhin leti hain.

Uchhale-khelte bachpan mein beta dhoondti hogi,
Tabhi to dekh kar pote ko daadi muskuraati hai.

Kuch khilaune kabhi aangan mein dikhaai dete,
Kash hum bhi kisi bachche ko mithaai dete. !!

इसलिए मैंने बुज़ुर्गों की ज़मीनें छोड़ दीं,
मेरा घर जिस दिन बसेगा तेरा घर गिर जाएगा !

बचपन में किसी बात पे हम रूठ गये थे,
उस दिन से इसी शहर में हैं घर नहीं जाते !

बिछड़ के तुझ से तेरी याद भी नहीं आई,
हमारे काम ये औलाद भी नहीं आई !

मुझको हर हाल में बख़्शेगा उजाला अपना,
चाँद रिश्ते में नहीं लगता है मामा अपना !

मैं नर्म मिट्टी हूँ तुम रौंद कर गुज़र जाओ,
कि मेरे नाज़ तो बस क़ूज़ागर उठाता है !

मसायल नें हमें बूढ़ा किया है वक़्त से पहले,
घरेलू उलझनें अक्सर जवानी छीन लेती हैं !

उछलते-खेलते बचपन में बेटा ढूँढती होगी,
तभी तो देख कर पोते को दादी मुस्कुराती है !

कुछ खिलौने कभी आँगन में दिखाई देते,
काश हम भी किसी बच्चे को मिठाई देते !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment