Saturday 29 September 2018

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda bhi hone ka andesha seh nahi sakte,
Hum ek shehar mein ab khush bhi reh nahi sakte.

Yeh roz-o-shab hain humare ke ek dusre se,
Chupaye phirte hain ahwal, keh nahi sakte.

Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahi,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahi sakte.

Haqeeqton ki chattane bhi apni raah mein hain,
Khayal-o-khawb ke dariya mein beh nahi sakte.

Woh bekasoor hai, aesi bhi koi baat nahi,
Kasoorwar hain hum, yeh bhi keh nahi sakte. !!

जुदा भी होने का अंदेशा सेह नहीं सकते, 
हम एक शहर में अब खुश भी रह नहीं सकते !

यह रोज़-ओ-शब हैं हमारे के एक दूसरे से, 
छुपाये फिरते हैं अहवाल, कह नहीं सकते !

शाकिस्त-इ-ज़ात का इज़हार चाहते भी नहीं, 
अजीब हाल है, हम चुप भी रह नहीं सकते !

हक़ीक़तों की चट्टानें भी अपनी राह में हैं, 
ख्याल-ओ-खाव्ब के दरिया में बह नहीं सकते !

वह बेक़सूर है, ऐसी भी कोई बात नहीं, 
कसूरवार हैं हम, यह भी कह नहीं सकते !!


-- Aitbar Sajid



0 comments:

Post a Comment