Sunday 16 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 21

Two Brother-Bhai-Shayari On Bhai- Munawwar Poetry On Bhai

Main itani bebasi mein qaid-e-dushman mein nahi marta,
Agar mera bhi ek Bhai ladkpan mein nahi marta.

Kanton se bach gaya tha magar phool chubh gaya,
Mere badan mein Bhai ka trishool chubh gaya.

Aye khuda thodi karam farmaai hona chaahiye,
Itani Behane hai to phir ek Bhai hona chaahiye.

Baap ki daulat se yun dono ne hissa le liya,
Bhai ne dastaar le lee maine joota le liya.

Nihatha dekh kar mujhko ladaai karta hai,
Jo kaam usne kiya hai wo Bhai karta hai.

Yahi tha ghar jahan mil-jul ke sab ek saath rehate the,
Yahi hai ghar alag Bhai ki aftaari nikalti hai.

Wah apne ghar mein raushan saari shmayein ginata rehta hai,
Akela Bhai khamoshi se Behane ginta rehata hai.

Main apne Bhaiyon ke saath jab ghar se baahar nikalata hun,
Mujhe Yusuf ke jaani dushmano ki yaad aati hai.

Mere Bhai wahan paani se roza kholte honge,
Hata lo saamne se mujhse aftaari nahi hogi.

Jahan par gin ke roti Bhaiyon ko bhai dete ho,
Sabhi cheezein wahin dekhi magar barkat nahi dekhi. !!

मैं इतनी बेबसी में क़ैद-ए-दुश्मन में नहीं मरता,
अगर मेरा भी एक भाई लड़कपन में नहीं मरता !

काँटों से बच गया था मगर फूल चुभ गया,
मेरे बदन में भाई का त्रिशूल चुभ गया !

ऐ ख़ुदा थोड़ी करम फ़रमाई होना चाहिए,
इतनी बहनें हैं तो फिर एक भाई होना चाहिए !

बाप की दौलत से यूँ दोनों ने हिस्सा ले लिया,
भाई ने दस्तार ले ली मैंने जूता ले लिया !

निहत्था देख कर मुझको लड़ाई करता है,
जो काम उसने किया है वो भाई करता है !

यही था घर जहाँ मिल-जुल के सब एक साथ रहते थे,
यही है घर अलग भाई की अफ़्तारी निकलती है !

वह अपने घर में रौशन सारी शमएँ गिनता रहता है,
अकेला भाई ख़ामोशी से बहनें गिनता रहता है !

मैं अपने भाइयों के साथ जब बाहर निकलता हूँ,
मुझे यूसुफ़ के जानी दुश्मनों की याद आती है !

मेरे भाई वहाँ पानी से रोज़ा खोलते होंगे,
हटा लो सामने से मुझसे अफ़्तारी नहीं होगी !

जहाँ पर गिन के रोटी भाइयों को भाई देते हों,
सभी चीज़ें वहाँ देखीं मगर बरकत नहीं देखी !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment