Kisi ko dekh kar rote hue hansna nahi achha,
Ye wo aansoo hain jinse takhte-sultaani palatata hai.
Din bhar ki mashkkat se badan chur hain lekin,
Maa ne mujhe dekha to thakan bhool gayi.
Duaayen Maa ki pahunchaane ko milon meel jaati hain.
Ki jab pardesh jaane ke liye beta nikalata hai,
Diya hai Maa ne mujhe doodh bhi wajoo karke,
Mahaaze-jang se main laut kar na jaaunga.
Khilaunon ki taraf bachhe ko Maa jaane nahi deti,
Magar aage khilono ki dukaan jaane nahi deti.
Dikhaate hai padosi mulk aankhen to dikhaane do,
Kahin bachhon ke bose se bhi Maa ka gaal katata hai.
Bahan ka pyaar Maa ki mamta do cheekhti aankhen,
Yahi tohafein the wo jinko main aksar yaad karta tha.
Barbaad kar diya humen pardesh ne magar,
Maa sabse keh rahi hai ki beta maje mein hai.
Badi bechaaragi se lauti baaraat taqte hain,
Bahaadur ho ke bhi majboor hote hain dulhan waale.
Khaane ki cheezein Maa ne jo bheji hain gaon se,
Baasi bhi ho gayi hain to lazzat wahi rahi. !!
किसी को देख कर रोते हुए हँसना नहीं अच्छा,
ये वो आँसू हैं जिनसे तख़्ते-सुल्तानी पलटता है !
दिन भर की मशक़्क़त से बदन चूर है लेकिन,
माँ ने मुझे देखा तो थकन भूल गई है !
दुआएँ माँ की पहुँचाने को मीलों मील जाती हैं,
कि जब परदेस जाने के लिए बेटा निकलता है !
दिया है माँ ने मुझे दूध भी वज़ू करके,
महाज़े-जंग से मैं लौट कर न जाऊँगा !
खिलौनों की तरफ़ बच्चे को माँ जाने नहीं देती,
मगर आगे खिलौनों की दुकाँ जाने नहीं देती !
दिखाते हैं पड़ोसी मुल्क आँखें तो दिखाने दो,
कहीं बच्चों के बोसे से भी माँ का गाल कटता है !
बहन का प्यार माँ की मामता दो चीखती आँखें,
यही तोहफ़े थे वो जिनको मैं अक्सर याद करता था !
बरबाद कर दिया हमें परदेस ने मगर,
माँ सबसे कह रही है कि बेटा मज़े में है !
बड़ी बेचारगी से लौटती बारात तकते हैं,
बहादुर हो के भी मजबूर होते हैं दुल्हन वाले !
खाने की चीज़ें माँ ने जो भेजी हैं गाँव से,
बासी भी हो गई हैं तो लज़्ज़त वही रही !!
-- Munawwar Rana

0 comments:
Post a Comment