Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Shayari. Show all posts

Wednesday, 10 October 2018

Two Line Bewafa Shayari

Two Line Bewafa Shayari

Hum se bewafai ki inteha kya puchte ho "Mohsin",
Woh hum se pyaar seekhta raha kisi aur ke liye.
हम से बेवफाई की इन्तहा क्या पूछते हो "मोहसिन",
वो हम से प्यार सीखता रहा किसी और के लिए !

Woh jinki aankhon se chamakte the wafa ke moti,
Yakeen mano kasam le lo woh aankhein bewafa nikli.
वो जिनकी आँखों से चमकते थे वफ़ा के मोती,
यकीन मानो कसम ले लो वो आँखें बेवफा निकली !

Kuch toh rahi hongi inki bhi mazbooriyan,
Yun chaah ke koi bewafa nahi hota.
कुछ तो रही होंगी इनकी भी मज़बूरियां,
यूँ चाह के कोई बेवफा नहीं होता !

Meri neendein udaane wale,
Ab tere khawab kaun dekhega.
मेरी नींदें उड़ाने वाले,
अब तेरे ख़्वाब कौन देखेगा !

Aaj badi der tak woh mohabbat dikhata raha,
Na jane kyon laga ki woh mohabbat chhod jayega.
आज बड़ी देर तक वह मोहब्बत दिखता रहा,
न जाने क्यों लगा कि वह मोहब्बत छोड़ जायेगा !

Din agar laut bhi aayein to kya kariye,
Dil lagana to phir bhi usi sitamgar se hai.
दिन अगर लौट भी आये तो क्या करिये,
दिल लगाना तो फिर भी उसी सितमगर से है !

Bechain ho ke shouq woh mashooq ho gaye,
Jis par padi nigaah tere beqrar ki.
बेचैन हो के शौक़ वह माशूक़ हो गए,
जिस पर पड़ी निगाह तेरे बेक़रार की !

Uski bewafai pe bhi fida hoti hai jaan apni,
Khuda jaane agarr usmein wafa hoti toh kya hota.
उसकी बेवफाई पे भी फिदा होती है जान अपनी, 
खुदा जाने अगर उसमें वफ़ा होती तो क्या होता !

Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,
Har baat ko alfaaz mein tola na karo.
अल्फ़ाज़ गिरा देते हैं जज़्बात की क़ीमत,
हर बात को अल्फ़ाज़ में तोला न करो !

Nadangi ki hadh toh dekho mere sanam ki,
Aye doston mujhe kho kar mera jaisa khoj rahi hai.
नादानगी की हद तो देखो मेरे सनम की, 
ऐ दोस्तों मुझे खो कर मेरा जैसा खोज रही है !


Wednesday, 3 October 2018

Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaaye..

Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaaye

Dard-e-dil mein kami na ho jaaye,
Dosti dushmani na ho jaaye.

Tum meri dosti ka dum na bharo,
Aasmaan muddai na ho jaaye.

Baithta hun humesha rindon mein,
Kahin zaahid wali na ho jaaye.

Apne khu-e-wafa se darta hoon,
Aashiqi bandagi na ho jaaye. !!

दर्द-ए-दिल में कमी न हो जाए,
दोस्ती दुश्मनी न हो जाए !

तुम मेरी दोस्ती का दम न भरो,
आसमान मुद्दे न हो जाए !

बैठता हूँ हमेशा रिन्दों में,
कहीं ज़ाहिद वाली न हो जाए !

अपने खु--वफ़ा से डरता हूँ,
आशिक़ी बंदगी न हो जाए !!


-- Bekhud Dehlvi



Saturday, 29 September 2018

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda bhi hone ka andesha seh nahi sakte,
Hum ek shehar mein ab khush bhi reh nahi sakte.

Yeh roz-o-shab hain humare ke ek dusre se,
Chupaye phirte hain ahwal, keh nahi sakte.

Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahi,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahi sakte.

Haqeeqton ki chattane bhi apni raah mein hain,
Khayal-o-khawb ke dariya mein beh nahi sakte.

Woh bekasoor hai, aesi bhi koi baat nahi,
Kasoorwar hain hum, yeh bhi keh nahi sakte. !!

जुदा भी होने का अंदेशा सेह नहीं सकते, 
हम एक शहर में अब खुश भी रह नहीं सकते !

यह रोज़-ओ-शब हैं हमारे के एक दूसरे से, 
छुपाये फिरते हैं अहवाल, कह नहीं सकते !

शाकिस्त-इ-ज़ात का इज़हार चाहते भी नहीं, 
अजीब हाल है, हम चुप भी रह नहीं सकते !

हक़ीक़तों की चट्टानें भी अपनी राह में हैं, 
ख्याल-ओ-खाव्ब के दरिया में बह नहीं सकते !

वह बेक़सूर है, ऐसी भी कोई बात नहीं, 
कसूरवार हैं हम, यह भी कह नहीं सकते !!


-- Aitbar Sajid



Friday, 28 September 2018

Mirza Ghalib Two Lines Famous Shayari


Humko maloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
Dil ko bahalaane ko "Ghalib" ye khayal achchha hai.
हमको मालूम है जन्नत की हकीकत लेकिन,
दिल को बहलाने को "ग़ालिब" ये ख़याल अच्छा है !

Ishq ne "Ghalib" nikamma kar diya,
Warna hum bhi aadmi the kaam ke.
इश्क ने "गालिब" निक्कमा कर दिया, 
वर्ना हम भी आदमी थे काम के !

Umar bhar "Ghalib" yahi bhool karta raha,
Dhul chehare pe thi aur aaina saaf karta raha.
उम्र भर "ग़ालिब" यही भूल करता रहा,
धुल चेहरे पे थी और आइना साफ़ करता रहा !

Is saadagi pe kaun na mar jaye - e - khuda,
Ladate hai aur haath mein talwar bhi nahin.
इस सादगी पे कौन न मर जाए - ए - खुदा,
लड़ते है और हाथ मै तलवार भी नहीं !

Hazaaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.
हजारों ख्वाहिशें ऐसी कि हर ख्वाहिश पे दम निकले,
बहुत निकले मेरे अरमाँ, लेकिन फिर भी कम निकले !

Unke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunak,
Wo samajhate hai ki beemaar ka haal achchha hai.
उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक,
वो समझते है की बीमार का हाल अच्छा है !

Dil-E-Nadan tujhe hua kya hai,
Aakhir is dard ki dava kya hai.
दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है,
आखिर इस दर्द की दवा क्या है !

Zindagi mein to wo mehfil se utha dete the,
Dekhun ab mar gaye par kaun uthata hai mujhe.
ज़िन्दगी में तो वो महफ़िल से उठा देते थे,
देखूं अब मर गए पर कौन उठता है मुझे !

"Ghalib" bura na maan jo waiz bura kahe,
Aisa bhi koi hai ki sab achchha kahe jise.
"ग़ालिब" बुरा न मान जो वाइज बुरा कहे,
ऐसा भी कोई है की सब अच्छा कहे जिसे !

Ishq par zor nahin hai ye wo aatish "Ghalib",
Ki lagaye na lage aur bujhaye na bane.
इश्क पर जोर नहीं है ये वो आतिश "ग़ालिब",
की लगाए न लगे और बुझाए न बने !

Pine de sharaab masjid mein baith ke "Ghalib",
Ya Wo jagah bata jahaan khuda nahin hai !
पीने दे शराब मस्जिद में बैठ के "ग़ालिब",
या वो जगह बता जहाँ खुदा नहीं है !

khwahishon ka kaafila bhi ajeeb hi hai "Ghalib",
Aksar wahin se guzarata hai jahaan raasta nahin hota !
ख्वाहिशों का काफिला भी अजीब ही है "ग़ालिब",
अक्सर वहीँ से गुज़रता है जहाँ रास्ता नहीं होता !

Dard ho dil mein to dava keejiye,
Dil hi jab dard ho to kya keejiye..?
दर्द हो दिल में तो दवा कीजिये,
दिल ही जब दर्द हो तो क्या कीजिये..?

Puchhate hain wo ki "Ghalib" kaun hai..?
Koi batalao ki hum batalaayein kya !
पूछते हैं वो की "ग़ालिब" कौन है..?
कोई बतलाओ की हम बतलायें क्या !

Raat hai sanaata hai wahaan koi na hoga "Ghalib",
Chalo un ke daro-o-deevaar choom ke aate hain !
रात है सनाटा है वहां कोई न होगा "ग़ालिब",
चलो उन के दरो-ओ-दीवार चूम के आते हैं !

Tere husn ko parade ki zarurat nahin hai "Ghalib",
Kaun hosh mein rahata hai tujhe dekhane ke baad.
तेरे हुस्न को परदे की ज़रुरत नहीं है "ग़ालिब",
कौन होश में रहता है तुझे देखने के बाद !

Tu toh wo jaalim hai jo dil mein rah kar bhi mera na ban saka "Ghalib",
Aur dil Wo kaaphir jo mujh mein rah kar bhi tera ho gaya.
तू तो वो जालिम है जो दिल में रह कर भी मेरा न बन सका "ग़ालिब",
और दिल वो काफिर जो मुझ में रह कर भी तेरा हो गया !

Nikalana khud se aadam ka sunate aaye hain lakin,
Bahut beaabaroo ho kar tere kooche se ham nikale.
निकलना खुद से आदम का सुनते आये हैं लकिन,
बहुत बेआबरू हो कर तेरे कूचे से हम निकले !

Thursday, 13 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 17

Humare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai Hum ab tanha nahi chalte dawa bhi saath chalti hai

Humare kuch gunahon ki saza bhi saath chalti hai,
Hum ab tanha nahi chalte dawa bhi saath chalti hai.

Kachche samar shzar se alag kar diye gaye,
Hum kamsini mein ghar se alag kar diye gaye.

Gautam ki tarah ghar se nikal kar nahi jaate,
Hum raat mein chhup kar kahin baahar nahi jaate.

Humare saath chal kar dekh lein ye bhi chaman waale,
Yahan ab koyla chunte hain phoolon se badan waale.

Itna roye the lipat kar dar-o-deewar se hum,
Shehar mein aa ke bahut din rahe beemar se hum.

Main apne bachchon se aankhen mila nahi sakta,
Main khali jeb liye apne ghar na jaunga.

Hum ek titalee ki khatir bhatkte firte the,
Kabhi na aayenge wo din shararton waale.

Mujhe sabhalne wala kahan se aayega,
Main gir raha hun puraani imaarton ki tarah.

Pairon ko mere deeda-e-tar banndhe hue hai,
Zanjeer ki soorat mujhe ghar baandhe hue hai.

Dil aisa ki sidhe kiye jute bhi badon ke,
Jid itani ki khud taaj utha kar nahi pehana. !!

हमारे कुछ गुनाहों की सज़ा भी साथ चलती है,
हम अब तन्हा नहीं चलते दवा भी साथ चलती है !

कच्चे समर शजर से अलग कर दिये गये,
हम कमसिनी में घर से अलग कर दिये गये !

गौतम की तरह घर से निकल कर नहीं जाते,
हम रात में छुप कर कहीं बाहर नहीं जाते !

हमारे साथ चल कर देख लें ये भी चमन वाले,
यहाँ अब कोयला चुनते हैं फूलों-से बदन वाले !

इतना रोये थे लिपट कर दर-ओ-दीवार से हम,
शहर में आके बहुत दिन रहे बीमार-से हम !

मैं अपने बच्चों से आँखें मिला नहीं सकता,
मैं ख़ाली जेब लिए अपने घर न जाऊँगा !

हम एक तितली की ख़ातिर भटकते फिरते थे,
कभी न आयेंगे वो दिन शरारतों वाले !

मुझे सँभालने वाला कहाँ से आयेगा,
मैं गिर रहा हूँ पुरानी इमारतों की तरह !

पैरों को मेरे दीदा-ए-तर बाँधे हुए है,
ज़ंजीर की सूरत मुझे घर बाँधे हुए है !

दिल ऐसा कि सीधे किए जूते भी बड़ों के,
ज़िद इतनी कि खुद ताज उठा कर नहीं पहना !!


-- Munawwar Rana



Wednesday, 12 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 16 Buzurg

Paanv daabe hain buzargon ke to fan aaya hai

Khud se chalkar nahi ye tarz-e-sukhan aaya hai,
Paanv daabe hain buzargon ke to fan aaya hai.

Humein buzurgon ki shafkat kabhi na mil paai,
Nateeja yah hai ki hum lofaron ke bich rahe.

Humeen girti hui deewar ko thaame rahe warna,
Saleeke se buzurgon ki nishaani kaun rakhta hai.

Ravish buzurgon ki shamil hai meri ghutti mein,
Jarurtan bhi Sakhi ki taraf nahi dekha.

Sadak se gujarte hain to bachche ped ginte hain,
Bade boodhe bhi ginte hain wo sookhe ped ginte hain.

Haweliyon ki chhatein gir gayi magar ab tak,
Mere buzurgon ka nasha nahi utarta hai.

Bilakh rahe hain zameeno pe bhookh se bachche,
Mere buzurgon ki daulat khandr ke niche hai.

Mere buzurgon ko iski khabar nahi shayad,
Panap nahi saka jo ped bargadon mein raha.

Ishq mein raay buzurgon se nahi li jaati,
Aag bujhte hue choolho se nahi li jaati.

Mere buzurgon ka saaya tha jab talak mujh par,
Main apni umar se chhota dikhaai deta tha.

Bade-boodhe kuyen mein nekiyaan kyon fenk aate hain,
Kuyen mein chhup ke aakhir kyon ye neki baith jaati hai.

Mujhe itna sataya hai mere apne ajeejon ne,
Ki ab jangle bhala lagta hai ghar achcha nahi lagta. !!

ख़ुद से चलकर नहीं ये तर्ज़-ए-सुखन आया है,
पाँव दाबे हैं बुज़र्गों के तो फ़न आया है !

हमें बुज़ुर्गों की शफ़क़त कभी न मिल पाई,
नतीजा यह है कि हम लोफ़रों के बीच रहे !

हमीं गिरती हुई दीवार को थामे रहे वरना,
सलीके से बुज़ुर्गों की निशानी कौन रखता है !

रविश बुज़ुर्गों की शामिल है मेरी घुट्टी में,
ज़रूरतन भी सख़ी की तरफ़ नहीं देखा !

सड़क से जब गुज़रते हैं तो बच्चे पेड़ गिनते हैं,
बड़े बूढ़े भी गिनते हैं वो सूखे पेड़ गिनते हैं !

हवेलियों की छतें गिर गईं मगर अब तक,
मेरे बुज़ुर्गों का नश्शा नहीं उतरता है !

बिलख रहे हैं ज़मीनों पे भूख से बच्चे,
मेरे बुज़ुर्गों की दौलत खण्डर के नीचे है !

मेरे बुज़ुर्गों को इसकी ख़बर नहीं शायद,
पनप नहीं सका जो पेड़ बरगदों में रहा !

इश्क़ में राय बुज़ुर्गों से नहीं ली जाती,
आग बुझते हुए चूल्हों से नहीं ली जाती !

मेरे बुज़ुर्गों का साया था जब तलक मुझ पर,
मैं अपनी उम्र से छोटा दिखाई देता था !

बड़े-बूढ़े कुएँ में नेकियाँ क्यों फेंक आते हैं,
कुएँ में छुप के आख़िर क्यों ये नेकी बैठ जाती है !

मुझे इतना सताया है मरे अपने अज़ीज़ों ने,
कि अब जंगल भला लगता है घर अच्छा नहीं लगता !!


-- Munawwar Rana 



Monday, 10 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 14


Mohabbat bhi ajeeb shay hai koi pardesh mein roye,
To fauran haath ki ek-aadh choodi toot jaati hai.

Bade sheharon mein rahkar bhi barabar yaad karta tha,
Main ek chhote se station ka manzar yaad karta tha.

Kisko fursat us mehfil mein gham ki kahani padhne ki,
Suni kalaai dekh ke lekin choodi waala toot gaya.

Mujhe bulaata hai maqtal main kis tarah jaaun,
Ki meri god se bachcha naih utarta hai.

Kahin koi kalaai ek choodi ko tarsati hai,
Kahin kangan ke jhatke se kalaai toot jaati hai.

Us waqt bhi aksar tujhe hum dhoondne nikale,
Jis dhoop mein majdoor bhi chhat par nahi jaate.

Sharm aati hai majdoori bataate hue humko,
Itane mein to bachchon ka gubaara nahi milta.

Humne baazar mein dekhe hain ghreloo chehare,
Muflisi tujhse bade log bhi dab jaate hain.

Bhatkti hai hawas din raat sone ki dukaano mein,
Gareebi kaan chhidwaati hai tinka daal deti hai.

Ameere-shahar ka riste mein koi kuch nahi lagta,
Gareebi chaand ko bhi apna mama maan leti hai. !!

मोहब्बत भी अजब शय है कोई परदेस में रोये,
तो फ़ौरन हाथ की एक-आध चूड़ी टूट जाती है !

बड़े शहरों में रहकर भी बराबर याद करता था,
मैं एक छोटे से स्टेशन का मंज़र याद करता था !

किसको फ़ुर्सत उस महफ़िल में ग़म की कहानी पढ़ने की,
सूनी कलाई देख के लेकिन चूड़ी वाला टूट गया !

मुझे बुलाता है मक़्तल मैं किस तरह जाऊँ,
कि मेरी गोद से बच्चा नहीं उतरता है !

कहीं कोई कलाई एक चूड़ी को तरसती है,
कहीं कंगन के झटके से कलाई टूट जाती है !

उस वक़्त भी अक्सर तुझे हम ढूँढने निकले,
जिस धूप में मज़दूर भी छत पर नहीं जाते !

शर्म आती है मज़दूरी बताते हुए हमको,
इतने में तो बच्चों का ग़ुबारा नहीं मिलता !

हमने बाज़ार में देखे हैं घरेलू चेहरे,
मुफ़्लिसी तुझसे बड़े लोग भी दब जाते हैं !

भटकती है हवस दिन-रात सोने की दुकानों में,
ग़रीबी कान छिदवाती है तिनका डाल देती है !

अमीरे-शहर का रिश्ते में कोई कुछ नहीं लगता,
ग़रीबी चाँद को भी अपना मामा मान लेती है !!


-- Munawwar Rana 



Sunday, 9 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 12


Isliye maine bujurgon ki zameene chhod di,
Mera ghar jis din basega tera ghar gir jayega.

Bachpan mein kisi baat pe hum ruth gaye the,
Us din se isi shehar mein hain ghar nahi jaate.

Bichhad ke tujh se teri yaad bhi nahi aayi,
Humare kaam ye aulaad bhi nahi aayi.

Mujhko har haal mein bkhshega ujaala apna,
Chaand rishte mein nahi lagta hai mama apna.

Main narm mitti hun tum raund kar gujar jaao,
Ki mere naaz to bas koojaagar uthaata hai.

Masaayal ne humein boodha kya hai waqt se pahale,
Gharelu uljhane aksar jawani chhin leti hain.

Uchhale-khelte bachpan mein beta dhoondti hogi,
Tabhi to dekh kar pote ko daadi muskuraati hai.

Kuch khilaune kabhi aangan mein dikhaai dete,
Kash hum bhi kisi bachche ko mithaai dete. !!

इसलिए मैंने बुज़ुर्गों की ज़मीनें छोड़ दीं,
मेरा घर जिस दिन बसेगा तेरा घर गिर जाएगा !

बचपन में किसी बात पे हम रूठ गये थे,
उस दिन से इसी शहर में हैं घर नहीं जाते !

बिछड़ के तुझ से तेरी याद भी नहीं आई,
हमारे काम ये औलाद भी नहीं आई !

मुझको हर हाल में बख़्शेगा उजाला अपना,
चाँद रिश्ते में नहीं लगता है मामा अपना !

मैं नर्म मिट्टी हूँ तुम रौंद कर गुज़र जाओ,
कि मेरे नाज़ तो बस क़ूज़ागर उठाता है !

मसायल नें हमें बूढ़ा किया है वक़्त से पहले,
घरेलू उलझनें अक्सर जवानी छीन लेती हैं !

उछलते-खेलते बचपन में बेटा ढूँढती होगी,
तभी तो देख कर पोते को दादी मुस्कुराती है !

कुछ खिलौने कभी आँगन में दिखाई देते,
काश हम भी किसी बच्चे को मिठाई देते !!


-- Munawwar Rana



Munawwar Rana Maa Part 11


Maa ki mamta ghane badalon ki tarah sar pe saaya kiye saath chalti rahi,
Ek bachcha kitaabein liye haath mein khamoshi se sadak paar karte hue.

Dukh bugurgon ne kaafi uthaye magar mera bachpan bahut hi suhana raha,
Umar bhar dhoop mein ped jalte rahe apni shaakhe samardaar karte hue.

Chalo mana ki shahnaai masarat ki nishani hai,
Magar wo shakhs jiski aa ke beti baith jaati hai.

Abhi maujood hai is gaon ki mitti mein khuddari,
Abhi bewa ki gairat se mahajan haar jaata hai.

Maloom nahi kaise jaroorat nikal aayi,
Sar kholte hue ghar se sharafat nikal aayi.

Ismein bachchon ki jali laashon ki tasvirein hain,
Dekhna haath se akhbaar na girne paaye.

Odhe hue badan pe gareebi chale gaye,
Bahano ko rota chhod ke bhai chale gaye.

Kisi boodhe ki laathi chhin gayi hai,
Wo dekho ik janaja jaa raha hai.

Aangan ki taksim ka kissa,
Mein jaanu ya baba jaane.

Humari cheekhti aankhon ne jalte shehar dekhe hain.
Bure lagte hain ab kisse humein Bhai-Bahan waale. !!

माँ की ममता घने बादलों की तरह सर पे साया किए साथ चलती रही,
एक बच्चा किताबें लिए हाथ में ख़ामुशी से सड़क पार करते हुए !

दुख बुज़ुर्गों ने काफ़ी उठाए मगर मेरा बचपन बहुत ही सुहाना रहा,
उम्र भर धूप में पेड़ जलते रहे अपनी शाख़ें-समरदार करते हुए !

चलो माना कि शहनाई मसर्रत की निशानी है,
मगर वो शख़्स जिसकी आ के बेटी बैठ जाती है !

अभी मौजूद है इस गाँव की मिट्टी में ख़ुद्दारी,
अभी बेवा की ग़ैरत से महाजन हार जाता है !

मालूम नहीं कैसे ज़रूरत निकल आई,
सर खोले हुए घर से शराफ़त निकल आई !

इसमें बच्चों की जली लाशों की तस्वीरें हैं,
देखना हाथ से अख़बार न गिरने पाये !

ओढ़े हुए बदन पे ग़रीबी चले गये,
बहनों को रोता छोड़ के भाई चले गये !

किसी बूढ़े की लाठी छिन गई है,
वो देखो एक जनाज़ा जा रहा है !

आँगन की तक़सीम का क़िस्सा,
मैं जानूँ या बाबा जानें !

हमारी चीखती आँखों ने जलते शहर देखे हैं,
बुरे लगते हैं अब क़िस्से हमें भाई-बहन वाले !!


-- Munawwar Rana



Munawwar Rana Maa Part 10


Mere bachche naamuraadi mein jawaan bhi ho gaye,
Meri khwaahish sirf baazaaron ki taaqat rah gayi.

Bachchon ki fees unki kitaabein kalam dawaat,
Meri gareeb aankhon mein school chubh gaya.

Wo samjhate hi nahi hain meri majboori ko,
Isliye bachchon pe gussa bhi nahi aata hai.

Kisi bhi rang ko pehchanana mushqil nahi hota,
Mere bachche ki soorat dekh isko jard kehate hain.

Dhoop se mil gaye hain ped humare ghar ke,
Main samjhati thi ki kaam aayega beta apna.

Phir usko mar ke bhi khud se juda hone nahi deti,
Ye mitti jab kisi ko apna beta maan leti hai.

Tamaam umar salaamat rahein dua hai meri,
Humare sar pe hain jo haath barkaton waale.

Humari muflisi humko izaazat to nahi deti,
Magar hum teri khaatir koi shahzaada bhi dekhenge.

Maa-Baap ki boodhi aankhon mein ek fikr-si chaai rehati hai,
Jis kambal mein sab sote the ab wo bhi chhota padta hai.

Dosti dushmani dono shaamil rahin doston ki nawaazish thi kuch is tarah,
Kaat le shookh bachcha koi jis tarah Maa ke rukhsaar par pyar karte hue. !!

मेरे बच्चे नामुरादी में जवाँ भी हो गये,
मेरी ख़्वाहिश सिर्फ़ बाज़ारों को तकती रह गई !

बच्चों की फ़ीस उनकी किताबें क़लम दवात,
मेरी ग़रीब आँखों में स्कूल चुभ गया !

वो समझते ही नहीं हैं मेरी मजबूरी को,
इसलिए बच्चों पे ग़ुस्सा भी नहीं आता है !

किसी भी रंग को पहचानना मुश्किल नहीं होता,
मेरे बच्चे की सूरत देख इसको ज़र्द कहते हैं !

धूप से मिल गये हैं पेड़ हमारे घर के,
मैं समझती थी कि काम आएगा बेटा अपना !

फिर उसको मर के भी ख़ुद से जुदा होने नहीं देती,
यह मिट्टी जब किसी को अपना बेटा मान लेती है !

तमाम उम्र सलामत रहें दुआ है मेरी,
हमारे सर पे हैं जो हाथ बरकतों वाले !

हमारी मुफ़्लिसी हमको इजाज़त तो नहीं देती,
मगर हम तेरी ख़ातिर कोई शहज़ादा भी देखेंगे !

माँ-बाप की बूढ़ी आँखों में एक फ़िक़्र-सी छाई रहती है,
जिस कम्बल में सब सोते थे अब वो भी छोटा पड़ता है !

दोस्ती दुश्मनी दोनों शामिल रहीं दोस्तों की नवाज़िश थी कुछ इस तरह,
काट ले शोख़ बच्चा कोई जिस तरह माँ के रुख़सार पर प्यार करते हुए !!


-- Munawwar Rana



Munawwar Rana Maa Part 9


Wo ja raha hai ghar se janaza bujurg ka,
Aangan mein ek darkhat purana nahi raha.

Wo to likha ke layi hai kismat mein jaagana,
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.

Shahzaade ko ye maloom nahi hai shayad,
Maa nahi jaanti dastaar ka bosa lena.

Aankhon se mangane lage paani wajoo ka hum,
Kaagaz pe jab bhi dekh liya Maa likha hua.

Abhi to meri jaroorat hai mere bachchon ko,
Bade hue to ye khud intezaam kar lenge.

Main hun mera bachcha hai khilauno ki dukaan hai,
Ab koi mere paas bahana bhi nahi hai.

Aye khuda ! tu fees ke paise ataa kar de mujhe,
Mere bachchon ko bhi University achchi lagi.

Bhikh  se to bhukh achchi gaon ko waapas chalo,
Shehar mein rehane se ye bachcha bura ho jaayega.

Khilaunon ke liye bachche abhi tak jaagte honge,
Tujhe aye muflisi koi bahaana dhoond lena hai.

Mamata ki aabroo ko bachaaya hai neend ne,
Bachcha Zameen pe so bhi gaya khelte hue. !!

वो जा रहा है घर से जनाज़ा बुज़ुर्ग का,
आँगन में एक दरख़्त पुराना नहीं रहा !

वो तो लिखा के लाई है क़िस्मत में जागना,
माँ कैसे सो सकेगी कि बेटा सफ़र में है !

शाहज़ादे को ये मालूम नहीं है शायद,
माँ नहीं जानती दस्तार का बोसा लेना !

आँखों से माँगने लगे पानी वज़ू का हम,
काग़ज़ पे जब भी देख किया माँ लिखा हुआ !

अभी तो मेरी ज़रूरत है मेरे बच्चों को,
बड़े हुए तो ये ख़ुद इन्त्ज़ाम कर लेंगे !

मैं हूँ मेरा बच्चा है खिलौनों की दुकाँ है,
अब कोई मेरे पास बहाना भी नहीं है !

ऐ ख़ुदा ! तू फ़ीस के पैसे अता कर दे मुझे,
मेरे बच्चों को भी यूनिवर्सिटी अच्छी लगी !

भीख से तो भूख अच्छी गाँव को वापस चलो,
शहर में रहने से ये बच्चा बुरा हो जाएगा !

खिलौनों के लिए बच्चे अभी तक जागते होंगे,
तुझे ऐ मुफ़्लिसी कोई बहाना ढूँढ लेना है !

ममता की आबरू को बचाया है नींद ने,
बच्चा ज़मीं पे सो भी गया खेलते हुए !!


-- Munawwar Rana