Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Wednesday, 3 October 2018

Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaaye..

Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaaye

Dard-e-dil mein kami na ho jaaye,
Dosti dushmani na ho jaaye.

Tum meri dosti ka dum na bharo,
Aasmaan muddai na ho jaaye.

Baithta hun humesha rindon mein,
Kahin zaahid wali na ho jaaye.

Apne khu-e-wafa se darta hoon,
Aashiqi bandagi na ho jaaye. !!

दर्द-ए-दिल में कमी न हो जाए,
दोस्ती दुश्मनी न हो जाए !

तुम मेरी दोस्ती का दम न भरो,
आसमान मुद्दे न हो जाए !

बैठता हूँ हमेशा रिन्दों में,
कहीं ज़ाहिद वाली न हो जाए !

अपने खु--वफ़ा से डरता हूँ,
आशिक़ी बंदगी न हो जाए !!


-- Bekhud Dehlvi



Saturday, 29 September 2018

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda Bhi Hone Ka Andesha Seh Nahi Sakte

Juda bhi hone ka andesha seh nahi sakte,
Hum ek shehar mein ab khush bhi reh nahi sakte.

Yeh roz-o-shab hain humare ke ek dusre se,
Chupaye phirte hain ahwal, keh nahi sakte.

Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahi,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahi sakte.

Haqeeqton ki chattane bhi apni raah mein hain,
Khayal-o-khawb ke dariya mein beh nahi sakte.

Woh bekasoor hai, aesi bhi koi baat nahi,
Kasoorwar hain hum, yeh bhi keh nahi sakte. !!

जुदा भी होने का अंदेशा सेह नहीं सकते, 
हम एक शहर में अब खुश भी रह नहीं सकते !

यह रोज़-ओ-शब हैं हमारे के एक दूसरे से, 
छुपाये फिरते हैं अहवाल, कह नहीं सकते !

शाकिस्त-इ-ज़ात का इज़हार चाहते भी नहीं, 
अजीब हाल है, हम चुप भी रह नहीं सकते !

हक़ीक़तों की चट्टानें भी अपनी राह में हैं, 
ख्याल-ओ-खाव्ब के दरिया में बह नहीं सकते !

वह बेक़सूर है, ऐसी भी कोई बात नहीं, 
कसूरवार हैं हम, यह भी कह नहीं सकते !!


-- Aitbar Sajid



Sunday, 21 January 2018

Zindagi Se Badi Koi Saza Hi Nahi


Zindagi se badi koi saza hi nahi,
Aur kya jurm hai pata hi nahi.

Itne hisson mein bat gaya hun main,
Mere hisse mein kuch bacha hi nahi.

Sach ghate ya badhe to sach na rahe,
Jhooth ki koi intehaa hi nahi.

Jadd do chaandi mein chaahe sone mein,
Aaina jhooth bolta hi nahi.

Zindagi se badi koi saza hi nahi,
Aur kya jurm hai pata hi nahi !!

ज़िन्दगी से बड़ी कोई सजा ही नहीं,
और क्या जुर्म है पता ही नहीं !

इतने हिस्सों में बट गया हूँ मैं,
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं !

सच घटे या बढ़े तो सच न रहे,
झूठ की कोई इंतहा ही नहीं !

जड़ दो चांदी में चाहे सोने में,
आईना झूठ बोलता ही नहीं !

ज़िन्दगी से बड़ी कोई सजा ही नहीं,
और क्या जुर्म है पता ही नहीं !!


Abdul Hamid Adam Poetry Collection