Showing posts with label Chahat Shayari. Show all posts
Showing posts with label Chahat Shayari. Show all posts

Sunday, 16 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 21

Two Brother-Bhai-Shayari On Bhai- Munawwar Poetry On Bhai

Main itani bebasi mein qaid-e-dushman mein nahi marta,
Agar mera bhi ek Bhai ladkpan mein nahi marta.

Kanton se bach gaya tha magar phool chubh gaya,
Mere badan mein Bhai ka trishool chubh gaya.

Aye khuda thodi karam farmaai hona chaahiye,
Itani Behane hai to phir ek Bhai hona chaahiye.

Baap ki daulat se yun dono ne hissa le liya,
Bhai ne dastaar le lee maine joota le liya.

Nihatha dekh kar mujhko ladaai karta hai,
Jo kaam usne kiya hai wo Bhai karta hai.

Yahi tha ghar jahan mil-jul ke sab ek saath rehate the,
Yahi hai ghar alag Bhai ki aftaari nikalti hai.

Wah apne ghar mein raushan saari shmayein ginata rehta hai,
Akela Bhai khamoshi se Behane ginta rehata hai.

Main apne Bhaiyon ke saath jab ghar se baahar nikalata hun,
Mujhe Yusuf ke jaani dushmano ki yaad aati hai.

Mere Bhai wahan paani se roza kholte honge,
Hata lo saamne se mujhse aftaari nahi hogi.

Jahan par gin ke roti Bhaiyon ko bhai dete ho,
Sabhi cheezein wahin dekhi magar barkat nahi dekhi. !!

मैं इतनी बेबसी में क़ैद-ए-दुश्मन में नहीं मरता,
अगर मेरा भी एक भाई लड़कपन में नहीं मरता !

काँटों से बच गया था मगर फूल चुभ गया,
मेरे बदन में भाई का त्रिशूल चुभ गया !

ऐ ख़ुदा थोड़ी करम फ़रमाई होना चाहिए,
इतनी बहनें हैं तो फिर एक भाई होना चाहिए !

बाप की दौलत से यूँ दोनों ने हिस्सा ले लिया,
भाई ने दस्तार ले ली मैंने जूता ले लिया !

निहत्था देख कर मुझको लड़ाई करता है,
जो काम उसने किया है वो भाई करता है !

यही था घर जहाँ मिल-जुल के सब एक साथ रहते थे,
यही है घर अलग भाई की अफ़्तारी निकलती है !

वह अपने घर में रौशन सारी शमएँ गिनता रहता है,
अकेला भाई ख़ामोशी से बहनें गिनता रहता है !

मैं अपने भाइयों के साथ जब बाहर निकलता हूँ,
मुझे यूसुफ़ के जानी दुश्मनों की याद आती है !

मेरे भाई वहाँ पानी से रोज़ा खोलते होंगे,
हटा लो सामने से मुझसे अफ़्तारी नहीं होगी !

जहाँ पर गिन के रोटी भाइयों को भाई देते हों,
सभी चीज़ें वहाँ देखीं मगर बरकत नहीं देखी !!


-- Munawwar Rana



Monday, 10 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 15


To kya majburiyan bejaan cheezein bhi samjhati hain,
Gale se jab utarta hai to jewar kuch nahi kehata.

Kahin bhi chhod ke apni zameen nahi jaate,
Humein bulaati hai duniya humin nahi jaate.

Zameen banjar bhi ho jaaye to chahat kam nahi hoti,
Kahin koi watan se bhi mohabbat chhod sakta hai.

Jaroorat roz hizrat ke liye aawaz deti hai,
Mohabbat chhod ke hindustan jaane nahi deti.

Paida yahin hua hun yahin par marunga main,
Wo aur log the jo Karachi chale gaye.

Main marunga to yahin dafan kiya jaaunga,
Meri mitti bhi Karachi nahi jaane waali.

Watan ki raah mein deni padegi jaan agar,
Khuda ne chaha to saabit kadam hi niklenge.

Watan se dur bhi ya rab wahan pe dam nikale,
Jahan se mulk ki sarhad dikhaai dene lage. !!

तो क्या मजबूरियाँ बेजान चीज़ें भी समझती हैं,
गले से जब उतरता है तो ज़ेवर कुछ नहीं कहता !

कहीं भी छोड़ के अपनी ज़मीं नहीं जाते,
हमें बुलाती है दुनिया हमीं नहीं जाते !

ज़मीं बंजर भी हो जाए तो चाहत कम नहीं होती,
कहीं कोई वतन से भी मुहब्बत छोड़ सकता है !

ज़रूरत रोज़ हिजरत के लिए आवाज़ देती है,
मुहब्बत छोड़कर हिंदुस्तान जाने नहीं देती !

पैदा यहीं हुआ हूँ यहीं पर मरूँगा मैं,
वो और लोग थे जो कराची चले गये !

मैं मरूँगा तो यहीं दफ़्न किया जाऊँगा,
मेरी मिट्टी भी कराची नहीं जाने वाली !

वतन की राह में देनी पड़ेगी जान अगर,
ख़ुदा ने चाहा तो साबित क़दम ही निकलेंगे !

वतन से दूर भी या रब वहाँ पे दम निकले,
जहाँ से मुल्क की सरहद दिखाई देने लगे !!


-- Munawwar Rana