Sunday, 9 September 2018

Munawwar Rana Maa Part 3

Gale milne ko aapas mein duaayein roz aati hain

Gale milne ko aapas mein duaayein roz aati hain,
Abhi masjid ke darwaaze pe maayen roz aati hain.

Kabhi-kabhi mujhe yun bhi azaan bulaati hai,
Shareer bachche ko jis tarah Maa bulaati hai.

Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi,
Main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein Maa aayi.

Aye andhere! dekh le munh tera kaala ho gaya,
Maa ne aankhen khol di ghar mein ujaala ho gaya.

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai.

Meri khwaahish hai ki main phir se farishtaa ho jaaun,
Maa se is tarah lipat jaaun ki bachcha ho jaaun.

Mera khuloos to poorab ke gaaon jaisa hai,
Sulooq duniya ka sauteli Maaon jaisa hai.

Roshni deti hui sab laaltenen bujh gayi,
Khat nahi aaya jo beton ka to Maayen bujh gayi.

Wo maila sa boseeda sa aanchal nahi dekha,
Barason hue humne koi peepal nahi dekha.

Kayi baatein mohabbat sabko buniyaadi bataati hai,
Jo Pardaadi bataati thi wahi Daadi bataati hai. !!

गले मिलने को आपस में दुआयें रोज़ आती हैं,
अभी मस्जिद के दरवाज़े पे माएँ रोज़ आती हैं !

कभी-कभी मुझे यूँ भी अज़ाँ बुलाती है,
शरीर बच्चे को जिस तरह माँ बुलाती है !

किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई,
मैं घर में सब से छोटा था मेरे हिस्से में माँ आई !

ऐ अँधेरे! देख ले मुँह तेरा काला हो गया,
माँ ने आँखें खोल दीं घर में उजाला हो गया !

इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है,
माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है !

मेरी ख़्वाहिश है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ,
माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि बच्चा हो जाऊँ !

मेरा खुलूस तो पूरब के गाँव जैसा है,
सुलूक दुनिया का सौतेली माओं जैसा है !

रौशनी देती हुई सब लालटेनें बुझ गईं,
ख़त नहीं आया जो बेटों का तो माएँ बुझ गईं !

वो मैला-सा बोसीदा-सा आँचल नहीं देखा,
बरसों हुए हमने कोई पीपल नहीं देखा !

कई बातें मुहब्बत सबको बुनियादी बताती है,
जो परदादी बताती थी वही दादी बताती है !!


-- Munawwar Rana



0 comments:

Post a Comment